Kali Kali Zulfon Ke Phande Song Lyrics | Nusrat Fateh Ali Khan

0
Kali Kali Zulfon Ke Phande Song Lyrics

Kali Kali Zulfon Ke Phande Song Lyrics: Here we are discuss about Kali Kali Zulfon Ke Phande Song Lyrics . After reading this article, you find the lyrics easily.So don’t waste time checking the whole article.

Kali Kali Zulfon Ke Phande Song Lyrics:

  • Presenting “Kali Kali Zulfon Ke” sung by Jubin Nautiyal & Rochak Kohli, composed by Rochak Kohli and written by Gurpreet Saini. Featuring Abhishek Singh & Adah Sharma. Originally sung, composed & written by Nusrat Fateh Ali Khan.
    Audio Credits:
    Song: Kali Kali zulfon ke
    Singer: Jubin Nautiyal, Rochak Kohli
    Music (recreated): Rochak Kohli
    Lyrics (recreated): Gurpreet Saini
    Music production, Mix & Mastered By: Sanjoy
    Original credits (Singer, Lyrics & Composition): Ustaad Nusrat Fateh Ali Khan

Kali Kali Zulfon Ke Phande Song Lyrics:

Kali kali zulfo ke phande na dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Aray kia husn walo se mohabbat,
Hamai maaloom hai anjaam e ulfat,
Tumhai achi tarha ham jaante hain,
Karo ham se na tum esi shararat.

Kali kali zulfo k phande na dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Na cherho hamein ham satae huay hain,
Boht zakhm seenay pe khae huay hain,
Sitamgar ho tm khoob pehchaante hain,
Tunhari aadaaon ko hum jaanty hain,
Daghabaaz ho tum sitam dhaanay walay,
Faraib e mohabbat mai uljhaane waly,
Yai rangi kahani tumhi ko mubarik,
Tumhari jawani tumhi ko mubarik,
Hamari taraf se nigaahein hata lo.
Hamein zinda rehne do ae husn walon.
Kali kali zulfo k phande na dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Lubhaun na gil husn ki dilkashi se,
Jo kehna hai keh do magr door hi se,
Yai naaz o ada ham na dekhenge, dekho
Karo baat lekin bari saadgi se.

Kali kali zulfo ke phande na dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Sambhalo zra apna aanchal gulaabi,
Dikhao na hans hans k aankhein shrabi,
Salook inka dunya mai acha nahe hai,
Haseenon pe hamko bharosa nahe hai,
Uthatay hain nazrein tw girti hai bijli,
Ada jo bhi nikli qayamat hi nikli,
Jahan tumny chehre se aanchal hataya,
Wohin ehl e dil ko tamasha banaya,
Jahan tumny chehre se aanchal hataya,
Wohin ehl e dil ko tamasha banaya,
Khuda k liye ham pe doorain na daalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Kali kali zulfo k phande na dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Sambhly tw yai aashiq ko sambhlny ne nahe deti,
Dhans le tw yai paaon badalny nahe deti,
Ham jaante hain inki adaaon ko yai nagin,
Insaan ko uljhan se nikalny nahe deti hamein.

Kali kali zulfo k phande na dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Ulfat k buray haal se dar lgta hai,
Har morh pe iss jaal se dar lgta hai,
Hum se isy do chaar qadam door hi rakho,
Zulfo k siyah jaal se darr lgta hai.

Kali kali zulfo k phande na dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Sada waar karte hou mere jafa ka,
Bahatay hou tm khoon ehl e wafa ka,
Yai nagin se zulfain- Yai zehreeli nazrain,
Woh paani na mangein- Yeh jis ko bhi dhans lein,
Woh lut jae jo tm sy dil ko lgaye,
Phiray hasrato ka janaza uthaye,
Hai maloom hamko tumari haqeeqat,
Mohabbat k parde se karte hou nafrat,
Kahin aur jaa k adaaen uchalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Kali kali zulfo k phande na dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Dunya k haseenon se bhalayi nahi milti,
Ulfat mai ksi ko bhi rahaayi nahe milti,
Zulfo mai na uljhaao khuda k liye hmko,
Iss qaid se aashiq ko rahaayi nahe milti,

Kali kali zulfo k phande na dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Yai jhooti numaish- Yai jhooti banawat,
Faraib e nazar hai- Nazar ki lagawat,
Yai bismil se gaisu- Yai aariz gulaabi,
Zamanay mai laenge ek din kharaabi,
Fanaa ham ko kar de na yai muskurana,
Adaa kaafiraana chalan zaalimaana,
Dikhao na ye ishwa o naaz ham ko,
Sikhao na ulfat k andaaz ham ko,
Ksi aur par zulf ka jaal dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon

Kali kali zulfo k phande na dalo,
Hamein Zinda rehne do ae husn walon.

Jisko chaahte hou loot lete hou,
Tum kisi ka bhala nahe karte.

Kali kali zulfo k phande na dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Ksi ki jaan gayi aap ki ada thehri.

Kali kali zulfo k phande na dalo,
Hamein zinda rehne do ae husn walon.
Hamein zinda rehne do ae husn walon.
Hamein zinda rehne do ae husn walon.
Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Check More Lyrics – Bangla Song Lyrics

Check More Lyrics – Hindi Song Lyrics

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here